Har ek rooh ki saanson pe wjn dekh raha hoon,
Main hr 1 sakhs k hathon me kafan dekh rha hoon.
Arre logon khuda hone ka dava n karo,
Main to insaan mein aadam ko bhi kam dekh raha hoon.
Yeh hawaon mein zhr or ye bimar fiza,
Kal ko jo hona hai Anzam-e-Chaman dekh rha hoon.
Yeh khuda ke liye Qatl-e-Khudai chhoro,
Nasl-e-Aadam mein tabahi ka chln dekh rha hoon.
Roshni walon andheron me bhi jina sikho,
Main aftab k kadmon mein thakan dekh raha hoon.
No comments:
Post a Comment