kya wo din the,
maa ki goad aur papa ke kandhe,
aaj yaad aa rha h sab kuch,
kuch chhuta jo peeche,
rote-rote wo so jana,
khud se baaten karna,
kho jana wo maa ka aawaz lagana,
khana hathon se khilana,
wo din bahar papa ka rasta takna,
zid puri hone ka intezar karna,
kya wo din the bachpan k suhane,
kyun itne dur sab kuchh ho gaye,
ab zid bhi apni,sapne bhi apne,
kis se kahe kya chahiye,
manzilon ko dundhte huye hi kho gaye,
kyun itne bade hum ho gaye.........
No comments:
Post a Comment