Friday, November 26, 2010

Annkh se lahu….

Aankh se lahu na bahaya kar
Ay dil usay kabhi to bhool jaya kar
Dekhna woh ek din tujhe chor jaega
Na tu usay itna sataya kar
itna aetabar bhi acha nahi hota
Usay har ik baat na bataya kar
Shidat-e-gUm se seena fat jaega
Aankh se kuch ansu bahaya kar
Us jaisa tujhe kahin mil nahi sakta
rothay toh hazar baar manaya kar...

No comments:

Post a Comment