Monday, October 24, 2011

Tum kya jaano main khuda se kya maangta hoon...



Tum kya jaano main khuda se kya maangta hoon,

Tumhari salaamti ki hamesha dua maangta hoon.

Agar anjaane mein ho jaye koi tum se khata ,

To do mujhe uski saza yeh maangta hoon.

Agar lag jaaye koi chot tumko, ya ho jaao tum pareshaan,

To mere haq mein woh saari takleefein maangta hoon.

Ya khuda,mere mehboob ko ghum se door rakhna,

Din raat tumhaare saare ghum maangta hoon.

Tum ho hamesha kaamyaab,tumhaari har khwaaish puri ho,

Bas yeh chaahta hoon,aur tumhaari khushi maangta hoon.

Main jaanta hoon ke tum mere nahin ho lekin,

Main hamesha khuda se tumhaara saath maangta hoon

Mujhse mat pooch...




Mujhse mat pooch ki kyun aankh jhuka li maine,
Teri tasveer thi jo tujhse chhupa li maine,
Jispe likha tha ki tu mere muqaddar mein nahi,
Apne maathe ki woh lakeer mita li maine,
Ghere rehti hai mujhe ek anokhi khushbu,
Teri yaadon se har ek saans saja li maine,
Jiske sheron ko woh sunke bahut roya tha,
Bas wohi ek ghazal sabse chhupa li maine

aa nikla hoon pal do pal ke liye...



kabhi to shaam dhale apne ghar gaye hote
kisi ki aankh mein rahkar sanvar gaye hote
gazal ne behate hue phool liye warna
gamon mein doob kar ham log mar gaye hote
aawara hawa ka jhonka hoon
aa nikla hoon pal do pal ke liye

Aankh se lahu na bahaya kar...



Aankh se lahu na bahaya kar
Aye dil usay kabhi to bhool jaya kar
Dekhna woh ek din tujhe chor jayega
Na tu usay itna sataya kar
itna aetabar bhi acha nahi hota
Usay har ik baat na bataya kar
Shidat-e-gUm se seena fat jaega
Aankh se kuch ansu bahaya kar
Us jaisa tujhe kahin mil nahi sakta
rothay toh hazar baar manaya kar...

Thursday, January 6, 2011

Kya kahein iss khel ko….

Kya kahein iss khel ko jo tune mere saath khele hai,

Tujhe khus dekhne ke liye har sitam humne jhele hai,

Kabhi paa hi nahi saka tumhe toh aaj judaai kaisi,

Hum akele bhi tanha the aur aaj tanha bhi akele hai,

Manzilein bhi uski thi…

Manzilein bhi uski thi, raasta bhi uska tha;

Ek hum hi akele thei, kafilaa bhi uska tha;

saath chalne ki soch bhi uski thee, Fir raasta badalne ka faisla bhi uska tha;

aaj akele hain, dil sawaal karta hai Log to uske the,kya khuda bhi uska tha????